. GDS BPM ko resignation kaise kare ?

GDS BPM ko resignation kaise kare ?

Answer: GDS BPM ke post se resign dene ke liye apne niyokta yani SSP ko resign letter likhna padta hai. Jab SSP apke resign dene ke karn se santusht hota hai aur unhe resignation se koi objection nahin hoti to ve ise accept kar lete hain aur iske bad apko departmental resignation process pura krne ke liye other documents fillup karna hoga.


GDS BPM /ABPM post se resign dene ki all process


GDS BPM/ ABPM post se resign dene se pahle make sure ki apne branch office ke sabhi record clear ho, record me koi mistake na ho, BO balance BO slip me dikhayi gayi amount ke barabar ho. yadi kisi grahak se passbook vagairh liya ho aur uska kaam ho gya ho to unhe lauta de.


Ab apne niyokta yani SSP ko resign letter likhe, koshish kare ki resign letter vinamra bhasha me ho, aap chahe to resign letter me dak vibhag ke sath apne positive experiences ko short me jaahir kar sakte hai, jaise ki - मुझे इस पद पर रहकर आपके मार्गदर्शन से डाक विभाग में सेवा करने का अवसर मिला.


Resign letter ko speed post ya registered daak ke madhyam se SSP office ke address par bheje yaa jyada better rahega ki aap khud SSP office jakar apna resign letter SSP ko saunp de aur unhe apne resign dene ka spasht karan bta dijiye.


Aapke branch office ke sare record clear hone ki jankari lene ke baad Vaise to generally SSP resign ko accept kar lete hai aur kuchh din baad resign order jaree kar deta hain tatha iski suchna apke BO se related SDI ko dete hai. Resign accept hone ke baad unse resign certificate/order copy jarur prapt kar le.


GDS BPM/ABPM Resignation letter kaise likhe?


GDS BPM/ABPM ko resign dene ke liye resign letter ki language Vinamr (विनम्र) ho, short ho, bhasha saral aur spasht ho. neeche GDS BPM/ABPM Resign letter format in hindi diya gaya hai.


GDS BPM Resignation letter

प्रति,
        प्रवर अधीक्षक (डाकघर) महोदय,
        XYZ संभाग

विषय: बीपीएम पद से इस्तीफ़ा देने बावत.
महोदय जी,

        सनम्र निवेदन है कि मैं XYZ, ABC ऑफिस में कार्यरत हूँ. मेरा चयन फलां विभाग के फलां पद पर हुआ है, इसलिए मुझे बीपीएम पद से इस्तीफ़ा देने की आवश्यकता है, जिस हेतु आपको इस्तीफ़ा पत्र प्रेषित है.

        अतः महोदय जी से पुनः निवेदन है कि मेरा इस्तीफ़ा पत्र स्वीकार करने की कृपा कीजिये.

        मुझे इस पद पर रहकर आपके मार्गदर्शन से डाक विभाग में सेवा करने का अवसर मिला. इसके लिए आपका बहुत-बहुत- धन्यवाद!

                                भवदीय
                        नाम -
                        हस्ताक्षर -
                        दिनांक -

Uprokt GDS BPM/ABPM Resignation letter format hai. is lekh me GDS BPM ko resignation process se related all information bataya gaya hai.
पिछला प्रश्न अगला प्रश्न